Daawat-e-Urs-e-Ismaily
Bismillah-ir-Rahman-ir-Raheem
Nihayat khushi aur aqeedat ke saath Sahib-e-Sajjada ki janib se aap tamaam ahbab, aqeedatmand hazraat aur apne azeezon ko Urs-e-Ismaily ke mubarak mauqe par daawat-e-huzoori di jaati hai.
Yeh mubarak aur roohani program 17, 18 aur 19 November ko Khaanqaah E Ismailiya, Masauli Shareef, District Barabanki, Uttar Pradesh mein munaqid hoga.
Aaiye, is ba-barkat mauqe par tashreef laakar roohani mehfilon mein shirkat farmaiye, duaon mein hissa lijiye aur Sarkar-e-Masauli ki nisbat se faiz-o-barkat hasil kijiye.
Aapki tashreef-aawari hamare liye baais-e-masarrat aur barkat hogi.
Daawat-ba-ehteraam
Sahib-e-Sajjada Sayed Shah Gulzar Ismail Wasti
Khaanqaah E Ismailiya, Masauli Shareef